ICC Series Yaad-e-Raftgan presents Seh'r-e-Sahir - page three
Anil Chopra
nazm "tari aawaz "
raat sunsan thi bojhal thiN faza ki sansaiN
roH per chaai thai bay naam GhamoN kai saai
dil ko yeh zid kai tu aaai tasalli daina
mairi koshish thi ki kambakht ko neend aajai
Anil Chopra
nazm "fankar "
maiN nai jo geet tirai piyar ki khatir likhai
aaj unn geetoN ko bazar maiN lai aaya huN
Deepti Warrier
nazm " haras "
tairai honTai pai tabassum ki woh halki si lakeer
mairai takhayyul maiN reh reh kai jhalk uThti hai
yuN achanak tirai Aariz ka khayal aata hai
jaisai zulmat main koi shamA bhaRak uThti hai
Deepti Warrier
ghazal
jab kabhi unki tawajjuh maiN kami paei gaei
a sara-e- no dastan-e- shauq duhraei gaei
Hamida Banu
parchaiyyaN
jawan raat kai seenai pai doodhyi aanchal
machal raha tha kisi khuwabai marmari ki taraH